Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Test link

Wapkiz Website par File Upload or Delete Kaise Kare

Wapkiz Website par File Upload Kaise Kare 
How to make folder on Wapkiz Site

Namaskar Dosto ,
Maine Pahle wale post me bataya tha ki Wapkiz par Website Kese banate hain, aaj ham iss post mein Wapkiz.com ke site par Songs, Videos, Protos, ya Koi bhi file Upload Karne ke bare me bataunga,
to Jyada Der N Karte hue aap logo ko Step by Step Batata hu ki Wapkiz Website par File Upload Kaise Karte HAi.

Sabse Pahle Apko kisi Browser me Wapkiz.com Site me Login Kar Ke apne Wesite Ke Control panel me aa jana hai. aur File Manager (FM)  par Click Kar Ke Open Karna Hai .
iske Baad Jo Page Open hoga wo Aisa Hoga.. yaha aapka total Folder Ka Root page Hoga.

root
  • New Folder: New Folder Create Karne Ke Liye.
  • Upload File: Apne Mobile or Computer Se (Songs, Audio, Videos, Photos, etc ) Upload Karne Ke liye.
  • Import File: Kisi File (Songs, Audio, Videos, Photos, etc ) ke url ko past kar ke upload karne ke liye.
Note:  Isme file Upload Karne Ki Kuchh Limit hai, isme kisi file ka Maximum Size 200MB tak hona Chahiye. aur Total 25GB tak Upload Kar sakte hain. Ho Sakta hai aage Disk Space Badha Diya jaye.


Wapkiz Site Me New Folder Kaise Banaye
New folder banane ke liye aapko file Manager me jakar New Folder par Click karna hoga fir aisa dikhaye dega

Upload Extra image and get url click here
Thumbnail Url: 
Folder Name: 
 Back

Thumbnail Url:  Agar aap apne folder me koi Thumbnail lagana chahte hai to aap uska url yaha paste kar de, nhi to Khali Chhod de. 

Folder Name: Is box me apna Folder Ka Name fill karke Make par click kar de. 

Aise hi aap jaha folder rakhna chahte hai to bana sakte hain. 

Wapkiz Par File Upload kese Kare ?

Wapkiz.com Par File upload kaise kare ? Step by Step
  • Step-1: apna Folder Create kar le aur banaye gaye folder folder pe click kare.
  • Step-2: Upload par Click kare. 
Max 200 MB per file







Step-3: Choose File par Click karke apne Disk se file ko Choose kar le.( Isme aap ek baar me 5 file upload kar sakte hai.)

Step-4: Upload par Click Kare.

kuchh Process baad aapka file Upload ho jayega.

Wapkiz.Com par Folder ya File Ko Delete Kaise Kare ?

Agar aap Folder Delete Karna Chahte hain to aap us Folder Par Tick Karke Niche » Delete This Folder (delete include file & folder first!)
Par Click kar ke Yes Par Click kar de.

or Koi File Delete karna Chahte hain to aap File Maneger (FM) me jakar us file par tick kare jise aap delete karna chahta hai uske baad
» Fir Yes par Click kar De.
ab aapka file Delete Ho jayega .

Agar koi Question ya koi Advice ho Comment me Jarur Likhe.

Post a Comment